daftar se churaya hua nisf din doston se bachai hui ek sham bachchon se thage hue wade biwi ke hisse se kuchh narm garm lams kuchh sote jagte bose aur khwabon se tanki hui ye raat! main tumhaare liye le ke aaya hun sarsabz mausamon ke ujle bij qadim zamanon se risti hui khunuk hawa aabi kinaron se sarshaar mitti ki roidagi aur ragon mein khilte hue safed gulabon ka shahad! main tumhaare liye le ke aaya hun be-tartib sanson ki mala dahakte hathon ki sarsarahat aankhon mein dur tak gunjti hui khamoshi aur wijdan mein ek bhuli hui muskurahat! tum ne mere liye rakkhi hai be-kaif tanhai ki aaghosh thande lams se aawezan muskurahat pasine mein bhige bistar ke tewar khurdure lahje ki kadwahat uryan khwahishon ki kharashen guzri raat ki basi mahak aur tulu hote pachhtawe ki ek subh!