hum samundar se milne zara der se pahunche raat samundar se ziyaada gahri ho rahi thi hum nange panw sahil ke sath bahut dur tak chale dinon ke baad sarshaari ne apna chehra dikhaya tha aur hamari bhuli hui dhun gungunai thi samundar hamari khamoshi mein dubne hi wala tha jab hamara git patwar hua ajnabi qadmon ke nishan chunte hue khayal aaya chahal-qadmi karte hue wo do sae kya hue ye lahren jin ke panw chura lai hain tabhi hum ne apne juton mein jhank kar dekha sahil abhi puri tarah nahin phisla tha hum ne socha samundar ko ab so jaana chahiye raat ki khunki hamari ragon mein utar chuki thi jab hum wapsi ke liye mude samundar badi garm-joshi ke sath hamein rukhsat karne aaya ghunuda chand raushan hua aur hamein ghar tak chhodne ki zid ki hum ne dabe-panw unghte darwaze par dastak di jahan udasi der se hamara intizar kar rahi thi!