sochta hun ki bahut sada-o-masum hai wo main abhi us ko shanasa-e-mohabbat na karun ruh ko us ki asir-e-gham-e-ulfat na karun us ko ruswa na karun waqf-e-musibat na karun sochta hun ki abhi ranj se aazad hai wo waqif-e-dard nahin khugar-e-alam nahin sahar-e-aish mein us ki asar-e-sham nahin zindagi us ke liye zahr bhara jam nahin sochta hun ki mohabbat hai jawani ki khizan us ne dekha nahin duniya mein bahaaron ke siwa nikhat-o-nur se labrez nazaron ke siwa sabza-zaron ke siwa aur sitaron ke siwa sochta hun ki gham-e-dil na sunaun us ko samne us ke kabhi raaz ko uryan na karun khalish-e-dil se use dast-o-gareban na karun us ke jazbaat ko main shoala-ba-daman na karun sochta hun ki jala degi mohabbat us ko wo mohabbat ki bhala tab kahan laegi khud to wo aatish-e-jazbaat mein jal jaegi aur duniya ko is anjam pe tadpaegi sochta hun ki bahut sada-o-masum hai wo main use waqif-e-ulfat na karun