salam ai dil-figar logo salam ai ashk-bar logo tumhi ne apna watan bachaya tumhi ne baatil ka sar jhukaya bujha ke sham-e-hayat apni wafa ki rahon ko jagmagaya magar ye dil ro ke kah raha hai lahu tumhaara na rang laya wahi hai shab ka hisar logo salam ai ashk-bar logo gulon ki wadi lahu lahu hai fughan ki aawaz chaar-su hai hain is qadar tishna-kaam mai-kash har ek lab par subu subu hai nishan-e-manzil hai khoya khoya luta luta shahr-e-arzu hai bujhe bujhe hain dayar logo salam ai ashk-bar logo tumhaare dam se hari zaminen khushi se daman-bhari mashinen hain us ke ba-wasf bhigi bhigi tumhaari ashkon se aastinen main sochta hun rahengi kab tak sitam ke aage jhuki jabinen uthao sar sogwar logo salam ai ashk-bar logo