main zaKHmon ko phir se kuredun

bahut din se
wo yaad aaya nahin hai

bahut din se main ne
udasi ko apne khayalon ki

tuti hui khidkiyon mein sajaya nahin hai
bahut din se

kamre mein gahri ghani tirgi hai
magar ab

badan ko nae khwab aane lage hain
kitabon mein sukhe hue phul phir muskurane lage hain

magar in mein khushbu nai hai
mujhe yaad hai

tum ne jo phul mujh ko diye the
tumhaari hi khushbu thi un mein

mujhe khud hi hairat hai kaise
dariche se bahar ka manzar badalne laga hai

parinde darakhton mein phir chahchahane lage hain
hawaen nae git gane lagi hain

pahadon se girte hue aabshaaron mein phir se
dhanak muskurane lagi hai

mujhe aise mausam mein
yaadon ke album ko chhune se bhi khauf aane laga hai

ajab kashmakash hai
mere zehn-o-dil mein

main ab phir se
mahsus karne laga hun

ki zakhmon ko apne kuredun
ajab kya

koi raushni ki kiran
mujh ko andar ki sharmindagi se bacha le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close