main ne jab janm liya to meri man mujhe chhati se lagae ro rahi thi meri bhuk ne chillana shurua kiya main ne dudh ki bajae apni man ke aansuon ka namak chakha phir main aansu pite pite jawan ho gai aur aansu pi kar jawan hone wali ladkiyon ko agar sanp bhi kat le to wo mar jata hai