aakhiri raat thi wo main ne dil se ye kaha harf jo likkhe gae aur jo zaban boli gai sabhi be-kar gae main bhi ab haar gaya yar bhi sab haar gae koi chaara nahin juz-tark-e-talluq ai dil ek sada aur sahi aakhiri bar jism se chheda use ruh se chhu le use aakhiri bar bahe saz-e-badan se koi naghma koi lai aakhiri raat hai ye aakhiri bar hai ye zaiqa-e-bosa-o-lams aakhiri bar chhalak jae lahu garmi-e-jaan se mahak jae nafas ki khushbu khwab mein khwab ke manind utar ja ai dil aakhiri raat thi wo phir guzar ku-e-nadamat se hua to dekha baam raushan hai jo tha aur darwaze pe dastak hai wahi mera qatil dar-o-diwar pe kuchh naqsh banata hai abhi ungliyan khun se tar dil-e-kam-zarf ko hai wahama-e-arz-e-hunar din ki har baat hui be-tauqir raat hai aur zamir chashm hai muntazir-e-khwab-e-digar khwab aate hain thaharte hain chale jate hain aur qatil ki saza ye bhi ki main zinda hun