udas yaadon ki muzmahil raat bit bhi ja ki meri aankhon mein ab lahu hai na khwab koi main sab diye taq-e-arzu ke bujha chuka hun tu hi bata ab ki marg-e-mahtab o khun-e-anjum pe nazr kya dun na mera mazi na mera farda bikhar gai thi jo zulf kab ki sanwar chuki hai aur aane wali sahar bhi aa kar guzar chuki hai udas yaadon ki muzmahil raat bit bhi ja!