chauthi bar bangal ki gati nadiya ke kinare wo mujh par munkashif hoi jahan sunahri machhliyan nile suron ko biloti thin aur raushni bantte ped kalam karte the us ki sahar phunkti aankh ne mujhe parinda banne ka hukm diya main us ke shane ki hari shakh par baith kar apna lahn ijad karne laga us ke hare badan ka saya siwa neze pe tha main ne us ke badan ke sae se narm bichhauna takhliq kiya aur duniya ke chehre par thuk diya ek tawil nind ke baad main ne barahma ki tarah aankh kholi us ka ghana saya mere wajud par simat raha tha us ke laziz phalon mein mere liye kadwahat rengne lagi main ne apna reza reza wajud samet kar gathdi mein bandha qutub-numa ko khalij bangal ke khat par rakh kar panw se thokar mari aur hawa par panw rakhta hua panchwen samt mein aage badh gaya main ne apne dil ko yaqin dilaya ki us ki siskiyon ka mukhatab main nahin tha