ab in bosida kaghaz ke pulandon ki zarurat kya bachi hai in lifafon par pate sare purane ho chuke hain in ko rakhna kis liye be-rang tahriron mein dube in khaton ki kyun hifazat chahiye ye purani filen zae agar ho jaen to nuqsan kya hai hath kyun rukte hain in kaghaz ke tukdon ko jalane mein ab in ki manawiyat kya bachi hai itne mah o sal ke baad is zamane mein mahak kaisi hai in mein ya jo khushbu si lapakti hai to kya hai ye ruton ka kharkhasha ab koi rut hogi ki jis ne kaghazon par chhod rakkha hai asar barson guzarte hain nahin, kuchh bhi nahin yaad aata hai lekin ye mere hath in ko chhute hi kyun kanpne lagte hain pahle bhi to bosida bahut kaghaz jalae hain na jaane in purani filon par kaun se guzre hue lamhon ke sae hain