raat us ko khwab mein dekh kar main ne kuchh nahin kaha chaar sal ki thakan jawan hui tishnagi badh ke be-karan hui han magar jab aansuon ki narm garm tazgi aas-pas dilkashi bikhar gai aur ek saya sa sirhane aa ke tham gaya main ne ye kaha ki ai mere khuda tu bada rahim hai us ka dil do nim hai us ke rang us ke husn ko nikhaar de us ke dil ka bojh utar de tu use sukun de mujhe junun de us ke dukh us ke dard chhin le us ke rog mujh ko de main gunahgar hun raat us ko khwab mein dekh kar chaar sal jaise phir usi tarah guzar gae chaar sal kis tarah guzar gae dil ye sochta raha main ne kuchh nahin kaha