main ne raat se pucha mere ghar se chori ho jaane wala khwab tumhaare pas to nahin mere ham-sae ke bachchon ka khwab gharon mein baithi jawan ladkiyon ke khwab shahr se hijrat kar jaane wale sare khwab tumhaare pas to nahin? raat meri aankhon mein jhank kar boli itne sare khwabon ka chori ho jaana aur shor na machna itne sare khwabon ka qatl ho jaana aur suragh na chalna itni sari lashon ka dariya mein baha diya jaana aur pani ka rang na badalna kaise mumkin hai tumhaari marzi ke baghair tumhaari shirkat ke baghair phir wo god mein uthaya hua chand meri taraf badha kar boli: is ke sar par hath rakho aur qasam khao apni be-gunahi ki apni masumiyat ki aur main us ka munh takta rah gaya