main ne khwabon ke saman-rang shabistanon mein loriyan de ke gham-e-dil ko sulana chaha talkhi-e-zist se be-zar-o-pareshan ho kar talkhi-e-zist ka ehsas mitana chaha aur main darte jhijakte kisi mujrim ki tarah aa gaya teri mohabbat ke paristanon mein chhod kar apne taaqub mein nigahen apni kho gaya kakul-o-rukhsar ke afsanon mein main ne socha tha tere jism ki ranai se sang-dil zehn ki taqdir badal jaegi zindagi waqt ke sahra ki alamnak sumum tere anfas ki mahkar mein dhal jaegi aah ek lamha bhi lekin mere sine ki tadap tere gate hue mahaul ko apna na saki teri zulfon ke ghane aur khunuk sae mein mere jalte hue idrak ko nind aa na saki teri hansti hui labrez chhalakti aankhen meri aankhon mein kabhi rang-e-tarab bhar na sakin tere daman ki hawaen thin junun-khez magar mere ehsas ki qindil ko gul kar na sakin main ne socha tha magar kitna ghalat socha tha zindagi ek haqiqat thi fasana to na thi meri duniya mere khwabon ki sunahri duniya nauha-e-gham thi masarrat ka tarana to na thi ab ye samjha hun ki is dard bhari duniya mein mere aaghaz ka anjam yahi hona tha khwab phir khwab the khwabon ka bharosa kya tha hasil-e-kahish-e-nakaam yahi hona tha zehn par lakh fusun-kar takhayyul hon muhit lakh pardon mein nigahon ko chhupaya jae talkhi-e-zist ka ehsas nahin mit sakta talkhi-e-zist ko jab tak na mitaya jae