abhi jaise ye kal ki baat lagti hai ki tum chhote se gudde the tumhein chalna nahin aata tha ghutnon ghutnon chalte the kabhi kursi kabhi sofa pakad kar jab khade hote to is chalne ki koshish mein tumhaare nanhe-munne panw aksar dagmaga jate qadam bhi ladkhada jate to main ungli pakad kar phir tumhein chalna sikhati phir tumhein abbu ne ek walker la diya ab tum ude phirte kisi ke hath kab aate phir ek din subh jab so kar uthi to main ne dekha ki tum bina walker bina koi sahaare apne panw par khade ho aur chal rahe ho phir tum yunhi chalte rahe chalte rahe chalte rahe din mahine aur mahine salon mein dhalte rahe tum yunhi chalte rahe aur chalte chalte ek din aakhir itni dur ja nikle meri aankhon se ojhal ho gae main ne tumhein chalna sikhaya tha!