mujh se pahle tujhe jis shakhs ne chaha us ne shayad ab bhi tera gham dil se laga rakkha ho ek be-nam si ummid pe ab bhi shayad apne khwabon ke jaziron ko saja rakkha ho main ne mana ki wo begana-e-paiman-e-wafa kho chuka hai jo kisi aur ki ranai mein shayad ab laut ke aae na teri mahfil mein aur koi dukh na rulae tujhe tanhai mein main ne mana ki shab o roz ke hangamon mein waqt har gham ko bhula deta hai rafta rafta chahe ummid ki shamen hon ki yaadon ke charagh mustaqil boad bujha deta hai rafta rafta phir bhi mazi ka khayal aata hai gahe-gahe muddaten dard ki lau kam to nahin kar saktin zakhm bhar jaen magar dagh to rah jata hai duriyon se kabhi yaaden to nahin mar saktin ye bhi mumkin hai ki ek din wo pashiman ho kar tere pas aae zamane se kinara kar le tu ki masum bhi hai zud-faramosh bhi hai us ki paiman-shikani ko bhi gawara kar le aur main jis ne tujhe apna masiha samjha ek zakhm aur bhi pahle ki tarah sah jaun jis pe pahle bhi kai ahd-e-wafa tute hain isi do-rahe pe chup-chap khada rah jaun