meri sab majburiyan kahti hain sahraon mein chal phir unhin tanhaiyon mein phir se aazaron mein chal ya shabistan-e-digar mein maut ke baghon mein chal ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun subh-e-nau ki hasraten sab sham ho ke rah gain aarzuen khwahishen aalam ho ke rah gain sari khushiyan qaidi-e-arqam ho ke rah gain ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun bas mera nala-e-gham hai ek nishan-e-kushtagan dhundhta hun mazi apna dhundo rah-e-raftagan na-rasa aah-e-alam hai aamad-o-shud raegan ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun tirgi-e-sham-e-gham mujh par fida hai kya karun dam-ba-dam mera kaleja nuch raha hai kya karun ye to bas anjam-e-shab ki ibtida hai kya karun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun nim-jaan dil pe alam bhaari na ho jae kahin is badan se ruh bhi aari na ho jae kahin mujh pe wahshat ka fusun tari na ho jae kahin ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun