teri rahguzar ko main yun chhod aaya ki ek be-nawa ki tabahi ka tujh par na ilzam aae main samjha tha yun shahar ki raunaqon mein ulajh kar teri be-niyazi ke aaseb se bach rahunga magar jab kabhi main sar-e-sham cafe mein pahuncha to dekha ki tu haal ke ek kone mein ek mez par sar jhukae na jaane kise nama-e-mushk-bu likh raha hai kabhi mall par main ne taxi jo roki to dekha ki taxi mein pahle se ek aashna chehra-e-dil-nashin ki ziya hai hamesha ye tu tha kabhi sham ko main kisi cinema haal mein ja ke baitha to dekha ki pahlu mein tu hai kai bar main ne tujhe gulshan-e-fatima ki hari ghas par baithe dekha kai bar bazar mein tu mere sath chalta raha der tak aur kai bar tu mere ghar tak mere sath aaya aur ab apne tarik kamre mein baitha hua sochta hun teri rahguzar ko main kyun chhod aaya