majburi By Nazm << main insan hun yaqin >> chalo achchha hua tum ne mera khat nazr-e-atish kar diya aur meri taswir wapas bhej di mujh ko ise bhi khak kar detin to qissa pak ho jata ab is taswir ko main bhej dunga us risale mein jo mahana tumhaare ghar mein aata hai Share on: