mujhe nafrat nahin hai ishqiya ashaar se lekin abhi in ko ghulamabad mein main ga nahin sakta mujhe nafrat nahin hai husn-e-jannat-zar se lekin abhi dozakh mein is jannat se dil bahla nahin sakta mujhe nafrat nahin pazeb ki jhankar se lekin abhi tab-e-nashat-e-raqs-e-mahfil la nahin sakta abhi hindostan ko aatishin naghme sunane do abhi chingariyon se barg-e-gul rangin banane do