kya ugla mod visal ka hai kya ugla hukm dhamal ka hai malum karo malum karo wo manzil chauthe kos pe hai jis manzil par inkar-e-darun-e-zat-e-alam ehsas-e-bad dur ho jaega aur para para jazbon ki yakjai se iqrar amar ho jaega jab umron ke takhminon se kuchh qadmon par ek bhid lagegi sanson ki un sanson ki jo chhan chhan kar ke girti hain betab samay ke sine par us sine par jis sine mein kuchh chandi hai kuchh sona hai un naslon ka jo hum donon ke dhyan mein hain aur dast-e-shifa ki surat hain