chhota sa ek bachcha hun main baaten bhi chhoti hain meri karna chahun ek wazahat batlaun main ek haqiqat masjid mandir man hoti hai pyar samundar man hoti hai ek sarmaya man hoti hai thandi chhaya man hoti hai khud dukh sah kar sukh deti hai haq kahti hai sach kahti hai dhaal ki surat wo rahti hai sab kuchh khud hi wo sahti hai man ka pyar mohabbat chahat har ek dil ko bakhshe rahat man to ek nirali daulat man ke qadmon niche jannat jis ne man ka rutba jaana us ne rab ko hai pahchana man ka rishta jaanne wale azmat ko pahchanne wale ghaur se sun len mera kahna man hira hai man ek gahna rab ek rup hai man mamta ka man mewa hai is duniya ka