bhai mujh se har dam ladti ho ek ki sau sau jadti ho apni zat ko bhuli ho tum to bilkul muli ho bahan main ye baat nahin bhuli hazim hoti hai muli bhai ho ya dushman ho tum thaali ke bengan ho bhai bengan achchha hai bahna be-gun is ko mat kahna tum ho aafat chhoti si tum ho bhindi moti si bahan bhindi ki kya baat hai ji unchi is ki zat hai ji tum sabzi ke khalu ho ek duble se aalu ho bhai sab khanon ka khaja hai aalu sab ka raja hai meri sister ho tum bhi moti gajar ho tum bhi bahan gajar sehat deti hai dil ko taqat deti hai mitha halwa gajar ka tum ho rup tamatar ka bhai jo bhi tamatar khata hai apni jaan banata hai is ka ras jo pite hain tagde ho kar jite hain bahan khatm karo khatpat sari achchhi hai har tarkari band ye sara khel karen aao hum tum shukr karen