main ne us ko dekha hai ujli ujli sadkon par ek gard bhari hairani mein phailti bhid ke aundhe aundhe katoron ki tughyani mein jab wo khali botal phenk ke kahta hai duniya! tera husn, yahi bad-surati hai duniya us ko ghurti hai shor-e-salasil ban kar gunjne lagta hai angaron bhari aankhon mein ye tund sawal kaun hai ye jis ne apni bahki bahki sanson ka jal baam-e-zaman par phenka hai kaun hai jo bal khate zamiron ke pur-pech dhundalkon mein ruhon ke ifrit-kadon ke zahr-andoz mahlakon mein le aaya hai yun bin puchhe apne aap ainak ke barfile shishon se chhanti nazron ki chap kaun hai ye gustakh takh tadakh!
This is a great sharab ki botal shayari. True lovers of dard bhari shayari hindi me will love this. Please share if you liked this!!!