kabhi hathon se udata hun, kabhi marta hun waqt be-rang se kide ki tarah dast-o-bazu pe mere rengta rahta hai din bhar raat bosida razai ki tarah odhe hue aur nakhunon se taron ko khurachte rahna chand bhi ek phaphundi lagi roti ki tarah sar pe tanga rahta hai kaise kate koi bimari mein bekari ke din? ulti latki hui botal se utarti hui phiki bunden dast-o-bazu mein mere rengti rahti hain din bhar ek be-rang se kide ki tarah!