main tujhe dhundne nikla ghar se aur apna hi pata bhul gaya ab na wo tu hai na main na wo rasta hai na ped na wo mandir hai na kutiya na charagh ab na wo tu hai na main aur wo log kahan kaise hain main jinhen bhul ke khush hun jo mujhe yaad bhi aaen kaisi diwar hai ye nim-faramoshi ki aao diwar giraen aur agar ye na gire aao dhundhen yahin honge kahin rima jauzaf… main tere kurte ka daman thamun aao hum rail banaen aao hum rail ko pichhe le jaen