ye mera kamra mere buzurgon ka ek tohfa wirasaton ka riwayaton ka inayaton ka azim waris purani yaadon purani baaton purani qadron ka ek atiyya agarche naqsh-o-nigar is ke gham-e-zamana ki aandhiyon se wo rang-o-roghan wo kaif-o-masti har ek khubi ko kho chuke hain magar hai phir bhi aziz mujh ko har ek diwar ab hai khasta har ek mehrab hai shikasta wo farsh jis par kisi zamana mein farsh-e-makhmal bichha hua tha magar koi mah-jabin thirak kar ye ga rahi thi farsh-e-makhmal pe mere panw chhile jate hain na farsh-e-makhmal na pa-e-nazuk chataiyan kuchh bichhi hui hain jahan pe fanus jal raha tha wahan pe ab ek diya hai raushan jo sham hi se bujha bujha sa charagh-e-muflis ki tarah yaro sisak raha hai ye mera kamra mere buzurgon ka ek tohfa main sochta hun main jaanta hun ki is ki buniyaad kyon padi thi main dekhta hun ki ab bhi baqi hain is faza mein purani tahzib ke pujari wahi riwayat-e-shahryari wahi hai jang-e-ghurur jari main sochta hun ki in riwayat ke dhundalkon se kaise niklun mere lahu ki tamam gardish meri zaban ka har ek jumla meri nazar ka har ek manzar mere badan ki har ek laghzish ye chahti hai ki is riwayat ke maqbare ko kisi jahannum mein phenk aaun magar main phir sochta hun yaro ki har mahine ki bis tarikh hi se kahti hai dil ki dhadkan ki hath roko zaruraton ki rida sameto nahin to chadar se panw bahar nikal padenge ye mashware dil ke hon to socho naya makan kis tarah banega nahin nahin main nahin giraunga shahryaron ke is khandar ko ki sar chhupane ke waste ab kahin jagah bhi na mil sakegi ye mera kamra mere buzurgon ka ek tohfa main is ka waris ye mera waris