main nae sal ki saughat tujhe kya bhejun ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai mah-washon zohra-jabinon ka khayal achchha hai yani bite hue mazi se ye haal achchha hai sar-phiron ke liye ulfat ka wabaal achchha hai jitne arman hain sine mein nikal achchha hai raat bhar zehn isi fikr mein hairan raha teri zulfon ki tarah main bhi pareshan raha dil mein ek dard ka chadhta hua tufan raha khali-khali sa khayalat ka gul-dan raha dasht-e-hasrat mein bahut der pareshan raha koi takhliq koi sher koi nazm-o-ghazal koi guldasta-e-afkar khayalon ka mahal koi naghma koi khushbu koi yaadon ka kanwal koi taswir koi khat koi udta baadal painting koi koi art ka taza model mashwara dil ka hai mehr-o-mah-o-anjum bhejo waqt kahta hai ki ab khosha-e-gandum bhejo