be-sabaati zist ki taslim karta hun magar kya zaruri hai ki be-maqsad bhi ho jae hayat koi nasabulain ho gar aadmi ke samne hasti-e-nachiz bhi sabit ho ruh-e-kaenat ek haqiqat mujh pe raushan hai jo karta hun bayan jabki main ai dosto mard-e-jahan-dida nahin be-irada kyon phire insan dasht-e-dahr mein zindagi jo kuchh bhi ho barg-e-khizan-dida nahin