yun rag o pai mein ajal utri hai hath sakit hain dua kya mangen aankh khamosh hai, kya dekhegi hont khwabida hain kya bolenge ek sannata abad-taba-abad johd-e-yak-umr ka hasil thahre dard ka shola rag-e-jaan ka lahu jins-e-be-maya the be-maya rahe tera khak un ki kharidar bane nikhat-e-gul ki tarah aawara bu-e-jaan wusat-e-afaq mein gum yak kaf-e-khak hai wo bhi kab tak? subh ki os se aankhen dho lo kamre se jhank ke bahar dekho aise masruf tag-o-taz hain sab jaise kal un ke muqaddar mein nahin main tamashai hun har manzar ka jaise kal mere muqaddar mein nahin