mazhab ka octopus pakad leta hai fard ko us ke bazu phail jate hain har masam har uzw par ye hawi ho jata hai har har sans par ifrit ban kar nigal leta hai jazbaat ke reshmi thanon ko masal kar rakh deta hai dil-sokhta ki har khwahish ko silen rakh deta hai dil-e-nazuk par upar se niche tak be-shumar be-hisab jo machle shikar us ka aur sakht ho jati hai giraft us ki zara si kushadgi bhi nahin bhati us ko mohabbat ki sadgi kahan pasand aati hai us ko us ki qumchi har waqt barasne ko tayyar hai jazbaat ke khel mein fard ka ehsas kyun hai qabil-e-etiraaz