zara sa gham nahin chehre pe in ke miyan sar par koi rumal hi rakh lo inhen to maut aana hi nahin hai wahi tane wahi fiqre abhi tak mera pichha kar rahe hain har janaze mein main apni chaal ki raftar thodi aur kam kar ke nikal aata hun bahar bhid se aur ruk ke ek dukan par cigarette jalata hun janaza dur hota ja raha hai ye sab kya hai? adakari nahin aati mujhe to kya karun main aur sachchi baat kah dun to mujhe pagal samajh legi ye duniya han ye sach hai mujhe ratti barabar gham nahin hota kisi ki maut ka aur ye bhi sun lo meri jis muskurahat par yahan naraaz hain sab sabab is ka jalan hai jo main mahsus karta hun kisi bhi marne wale se kudhan hoti hai mujh ko soch kar ki main jis imtihan ke khauf se behaal aur be-chain phirta hun wo ye sahab jo kandhon par hain un ka ho chuka aur mera baqi hai