mashq

to wo sab mashq thi
be-pardagi ki

jo mujhe pichhle kai ek sal se un aspatalon mein karai ja rahi thi
jahan par qaid tha main

kabhi mujh ko mere hi phephadon ki x-ray mein qaid taswiren dikha kar
kabhi peshab ki thaili laga kar

ki main puri tarah be-sharm ho jaun
us ek lamhe ke aane tak

jab ek anjaan hath
ghusl ke takhte pe bilkul be-jhijak

uzw-e-tanasul mein mere
peshab ki bunden tatole

aur mujhe jaise jahan ji chahe chhu le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close