1 dur ja kar qarib ho jitne hum se kab tum qarib the itne ab na aaoge tum na jaoge wasl-e-hijran baham hue kitne 2 chand nikle kisi jaanib teri zebai ka rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-shirin-dahanan aaj arzan ho koi harf shanasai ka garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan tazkira chhede teri pairahan-arai ka sehn-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshad-qadan phir nazar aae saliqa teri ranai ka ek bar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan koi wada koi iqrar masihai ka saz-o-saman baham pahuncha hai ruswai ka 3 kab tak dil ki khair manaen kab tak rah dikhlaoge kab tak chain ki mohlat doge kab tak yaad na aaoge bita did ummid ka mausam khak udti hai aankhon mein kab bhejoge dard ka baadal kab barkha barsaoge ahd-e-wafa ya tark-e-mohabbat jo chaho so aap karo apne bas ki baat hi kya hai hum se kya manwaoge kis ne wasl ka suraj dekha kis par hijr ki raat dhali gesuon wale kaun the kya the un ko kya jatlaoge 'faiz' dilon ke bhag mein hai ghar bharna bhi lut jaana bhi tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraoge