mere dard ko jo zaban mile

mera dard naghma-e-be-sada
meri zat zara-e-be-nishan

mere dard ko jo zaban mile
mujhe apna nam-o-nishan mile

meri zat ka jo nishan mile
mujhe raaz-e-nazm-e-jahan mile

jo mujhe ye raaz-e-nihan mile
meri khamushi ko bayan mile

mujhe kaenat ki sarwari
mujhe daulat-e-do-jahan mile


This is a great khamoshi shayari photo. True lovers of sher e zaat shayari will love this. Please share if you liked this!!!