kyun kahiye kisi se ki hamein koi pilae qismat mein agar mai nahin mil jaegi chae sahba na ho shabnam sahi chae ho ki zahrab shai bas wahi jo gham-zada ke gham ko bhulae pine ka saliqa ho to be-mol bhi pi len virana bhi ho kaif-gah sahra bhi sarae saqi ko hai be-jumbish-e-lab tishna-labi shaq kyun saqi-gari ke koi yun naz uthae hai kaun ba-juz tere ai saqi jo sambhaale jab shiddat-e-nashsha tere rindon ko girae mai-noshi bhi hai marka-arai ka ek aks baatil se jo takra na sake shishon ko takrae masti sahi lekin hai bala-khairgi-e-josh paimana ki aaghosh se jo mai ko udae aakhir kise andaza khumar-e-shab-e-di ka ab mai-kada viran pada mai hai kahan aae han tash ke patton mein kuchh ahbab to mashghul jo muntashir-e-yaad ho dil kaise bhulae