maujon ki jawani mein talatum hai abhi tak sailab-e-hawa shorishon mein gum hai abhi tak bahte chale jate hain ye mahke hue dhaare karte hain ishaare hanste hain nazare aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare ab tak usi andaz se hansti hain fazaen ab tak usi khushbu se mahakti hain hawaen aati hain usi taur ghata-top ghataen ab tak usi mahaul mein palte hain nazare chand aur sitare ye nur ke pare aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare panghat pe jawan ladkiyan aati hain abhi tak pariyon ki tarah nachti gati hain abhi tak hansta hua mahaul basati hain abhi tak aankhon mein jhalakte hain jawani ke sharare rangin sitare masum ishaare aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare jamun ke darakhton ki wahi chhanw ghaneri aur un se zara hat ke mere khet ki beri ruman ki duniya abhi mahfuz hai meri in sayon tale hum ne kai pahr guzare basti se kinare kya din the hamare aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare duniya ne na dekha mera rangin fasana jhelum ko magar yaad hai shaer ka fasana parwan chadha hun inhin maujon ke sahaare dekhe hain nazare hain zehn mein sare aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare