wahi dariya jawan rangin nazuk machhliyon ka hai bichhauna odhna ye machhliyan bholi isi mein zinda rahna chahti hain aur bahao ke mukhalif tairne ki aarzu bhi dil mein rakhti hain magar dariya unhen khashak ki surat baha kar ek din pur-shor kaf-alud pur-haibat samundar ke hawale karne wala hai yahi hota raha hai to kya dariya yahi karta rahega