hum sab ki yaadon mein hai ek sabz-daricha jis mein rakkha hai gul-dan is gul-dan mein ab tak taza phul saje hain phulon mein do aankhen hain jo mazi ki tarik guzargahon mein jaise shamen ban kar raushan hain un aankhon aur hum logon mein ab waqt ka sahra hail hai dur hain lekin ye aankhen har lamha dekhti rahti hain hum kaise hain kis des mein hain kis bhes mein hain kin logon mein hain kaun hamein khushiyan deta hai kaun hamein gham deta hai un se bichhad ke kis se mile aur kis se hue hum log juda dukh mein aur tanhai mein wo kaun tha jis ko yaad kiya hum roen to aaj bhi jaise ye aankhen ro deti hain hum khush hon to ye bhi khush ho jati hain in aankhon ka hamein sahaara rahta hai jaise musafir dasht mein ho to us ka sathi us par raushan ek sitara rahta hai lekin hum logon ke dil ye soch ke akasr kanp uthte hain jab ye aankhen bujh jaengi sabz-daricha ho jaega band to aakhir kya hoga