kisi ki yaad satati hai raat din tum ko kisi ke pyar se majbur ho gai ho tum tumhaara dard mujhe bhi udas rakhta hai qarib aa ke bahut dur ho gai ho tum tumhaari aanhken sada sogwar rahti hain tumhaare hont taraste hain muskurane ko tumhaari ruh ko tanhaiyan ata kar ke ye sochti ho ki kya mil gaya zamane ko gila karo na zamane ki sard-mehri ka ki is khata mein zamane ka kuchh qusur nahin tumhaare dil ne use muntakhab kiya ki jise tumhaare gham ko samajhne ka bhi shuur nahin tum us ki yaad bhula do ki bewafa hai wo har ek dil nahin hota tumhaare dil ki tarah tum apne pyar ko ruswa karo na ro ro kar tumhaara pyar muqaddas hai bible ki tarah ab us ke waste khud ko na yun tabah karo ab imtihan ki tamanna se faeda kya hai wo aasman ki jise tum na chhu sakogi kabhi us aasman ki tamanna se faeda kya hai