tu chhin gaya to laga jaise lakiren meri hatheli ke kaghaz se gir gai hain aur hath kafan se zyaada safed ho gae hain ab jaane kaun se lamhe ki pur-kar lainon ki ibarat dobara likhe main ne jit udhaar to nahin mangi thi hijr kisi zalim chaudhari ki tarah tamam wasl ka anaj utha kar le gaya hai aur bhuk jism pe baalon ki tarah ugne lagi hai waqt se mera mazaq kabhi nahin raha phir jaane kyun sab ye mujh se kisi bahut qaribi dost ki tarah khelta rahta hai tere aansu meri aankhon ko nargis ka saunp kar gae hain jaane surkh gulab ka zaiqa binai kab chakkhe suno raste abhi apne musafir bhule nahin laut aao warna malum hai tumhein ab naya ghar bante der nahin lagti raste sukdi hui kaliyan aur khet sahn banne se pahle chale aao ki tawil duriyan apne mehwar se hatne ke mutaradif hain aur madar se nikle hue chand ek din akhbar ki surkhi ban kar baqi raddi ke bhaw bikte hain