main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar nawah-e-hairat-kada tilismat-e-afiyat tha na mera fikr-o-nazar se rishta na mera iham-goi shewa faqat main shahid ibaadaton se chamakte lamhon ki dastan ka darun-e-masjid khade manare azan dete to wadi-e-ishq se tulua namaz hoti imam aur muqtadi safiran-e-ahl-e-iman huzur-yabi ki nudraton se kalam karte salam karte main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar gawah-e-awwal gawah-e-akhir hun us khajil lamha-e-qafas ka jab aainon ki ragon mein taza lahu ki hairat ka khun hua tha ajab tulua sahar hui thi falak ki surkhi utar ke chashm-e-tapan mein aai chahaar samton mein khandaqen thin faza mein raqsan thi bu-e-wahshat darun-e-masjid bhi kalma-go the wo kalma-go the ki jin ke hathon mein aslaha tha chahaar jaanib gharon mein qaidi the jin ke honton se bad-duaen phisal rahi thin main qalb-e-shahr-e-salam andar nam-o-tabassum se aashna tha magar ye din the khajil fasanon ki bazyabi ki suraton ke safir aate safir jate bilakte bachchon ki aah-o-zari nahif lahjon ki kapkapahat samaaton se ulajh rahi thi faza mein tha khauf dhund jaise darun-e-masjid wo ahal-e-mimbar wo ahl-e-jubba sifaraton ki sabil-e-makhlut mein ulajh kar siraat-e-abyaz se hat gae the main dar gaya tha main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar main istada hun ab bhi lekin na masjid-e-ahmarin hai waisi na muqtadi hain na tifl-o-madar na ahl-e-mimbar hain jin ki taqrir ne fazaon ka sans khincha na shorishen shahr-e-kalma-go mein magar haqiqat mein kya hua tha lahu main luthdi safon se puchho chaman mein murda sifaraton ki shabihen dekho main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar kai zamanon se ro raha hun mujhe basarat nahin basirat se dekhiyega