jaane kya baat hai kyun nind nahin aati hai raat bojhal hai sitaron ki nazar baithi hui shab ke khamosh manazir hain ajab khauf-zada be-aman jaane kise dhundhne ki zid mein abas dur ufaq par kahin dur nikal jati hai subh uthti hai to bachpan ki umangen le kar aaj aaega koi raat gai baat gai din guzarta hai kisi aas ke pahlu mein rawan khalwaten mahfil-e-rangin mein dhal jati hain aahen naghmon ki sadaon mein nikhar jati hain sham lau deti hui yas ki ranai mein kaun aata hai khayalon ke siwa is ghar mein kis ko aana hai yahan kaun yahan aaega sham se baat banate hue din ka dhalna raat ka sham se rangin kahani sunna raat ki nind se hoti hui chima-goi paikar-e-nind ka tuta hua alsaya badan rose hota hai yun hi muddaten guzrin lekin kash aisa ho kabhi nind na karwat badle aur tum dastaken dete raho hum aae hain