silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-hadsat silsila-e-roz-o-shab asl-e-hayat-o-mamat silsila-e-roz-o-shab tar-e-harir-e-do-rang jis se banati hai zat apni qaba-e-sifat silsila-e-roz-o-shab saz-e-azal ki fughan jis se dikhati hai zat zer-o-bam-e-mumkinat tujh ko parakhta hai ye mujh ko parakhta hai ye silsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaenat tu ho agar kam ayar main hun agar kam ayar maut hai teri baraat maut hai meri baraat tere shab-o-roz ki aur haqiqat hai kya ek zamane ki rau jis mein na din hai na raat aani-o-fani tamam mojaza-ha-e-hunar kar-e-jahan be-sabaat kar-e-jahan be-sabaat awwal o aakhir fana baatin o zahir fana naqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-akhir fana hai magar is naqsh mein rang-e-sabaat-e-dawam jis ko kiya ho kisi mard-e-khuda ne tamam mard-e-khuda ka amal ishq se sahab farogh ishq hai asl-e-hayat maut hai us par haram tund o subuk-sair hai garche zamane ki rau ishq khud ek sail hai sail ko leta hai tham ishq ki taqwim mein asr-e-rawan ke siwa aur zamane bhi hain jin ka nahin koi nam ishq dam-e-jibrail ishq dil-e-mustafa ishq khuda ka rasul ishq khuda ka kalam ishq ki masti se hai paikar-e-gil tabnak ishq hai sahba-e-kham ishq hai kas-ul-karam ishq faqih-e-haram ishq amir-e-junuud ishq hai ibnus-sabil is ke hazaron maqam ishq ke mizrab se naghma-e-tar-e-hayat ishq se nur-e-hayat ishq se nar-e-hayat ai haram-e-qurtuba ishq se tera wajud ishq sarapa dawam jis mein nahin raft o bud rang ho ya khisht o sang chang ho ya harf o saut mojaza-e-fan ki hai khun-e-jigar se numud qatra-e-khun-e-jigar sil ko banata hai dil khun-e-jigar se sada soz o surur o surud teri faza dil-faroz meri nawa sina-soz tujh se dilon ka huzur mujh se dilon ki kushud arsh-e-moalla se kam sina-e-adam nahin garche kaf-e-khak ki had hai siphar-e-kabud paikar-e-nuri ko hai sajda mayassar to kya us ko mayassar nahin soz-o-gudaz-e-sajud kafir-e-hindi hun main dekh mera zauq o shauq dil mein salat o durud lab pe salat o durud shauq meri lai mein hai shauq meri nai mein hai naghma-e-allah-hu mere rag-o-pai mein hai tera jalal o jamal mard-e-khuda ki dalil wo bhi jalil o jamil tu bhi jalil o jamil teri bina paedar tere sutun be-shumar sham ke sahra mein ho jaise hujum-e-nukhil tere dar-o-baam par wadi-e-aiman ka nur tera minar-e-buland jalwa-gah-e-jibrail mit nahin sakta kabhi mard-e-musalman ki hai us ki azanon se fash sirr-e-kalim-o-khalil us ki zamin be-hudud us ka ufuq be-saghur us ke samundar ki mauj dajla o danyub o nil us ke zamane ajib us ke fasane gharib ahd-e-kuhan ko diya us ne payam-e-rahil saqi-e-rabab-e-zauq faras-e-maidan-e-shauq baada hai us ka rahiq tegh hai us ki asil mard-e-sipahi hai wo us ki zirah la-ilah saya-e-shamshir mein us ki panah la-ilah tujh se hua aashkar banda-e-momin ka raaz us ke dinon ki tapish us ki shabon ka gudaz us ka maqam-e-buland us ka khayal-e-azim us ka surur us ka shauq us ka niyaz us ka naz hath hai allah ka banda-e-momin ka hath ghaalib o kar-afrin kar-kusha karsaz khaki o nuri-nihad banda-e-maula-sifat har do-jahan se ghani us ka dil-e-be-niyaz us ki umiden qalil us ke maqasid jalil us ki ada dil-fareb us ki nigah dil-nawaz aaj bhi is des mein aam hai chashm-e-ghazal aur nigahon ke tir aaj bhi hain dil-nashin bu-e-yaman aaj bhi us ki hawaon mein hai rang-e-hijaz aaj bhi us ki nawaon mein hai dida-e-anjum mein hai teri zamin aasman aah ki sadiyon se hai teri faza be-azan kaun si wadi mein hai kaun si manzil mein hai ishq-e-bala-khez ka qafla-e-sakht-jaan dekh chuka almani shorish-e-islah-e-din jis ne na chhode kahin naqsh-e-kuhan ke nishan harf-e-ghalat ban gai ismat-e-pir-e-kunisht aur hui fikr ki kashti-e-nazuk rawan chashm-e-faransis bhi dekh chuki inqalab jis se digar-gun hua maghrabiyon ka jahan millat-e-rumi-nizhad kohna-parasti se pir lazzat-e-tajdida se wo bhi hui phir jawan ruh-e-musalman mein hai aaj wahi iztirab raaz-e-khudai hai ye kah nahin sakti zaban narm dam-e-guftugu garm dam-e-justuju razm ho ya bazm ho pak-dil o pak-baz nuqta-e-parkar-e-haq mard-e-khuda ka yaqin aur ye aalam tamam wahm o tilism o majaz aql ki manzil hai wo ishq ka hasil hai wo halqa-e-afaq mein garmi-e-mahfil hai wo kaba-e-arbab-e-fan satwat-e-din-e-mubin tujh se haram martabat undulusiyon ki zamin hai tah-e-gardun agar husn mein teri nazir qalb-e-musalman mein hai aur nahin hai kahin aah wo mardan-e-haq wo arabi shahsawar hamil-e-khalq-e-azim sahab-e-sidq-o-yaqin jin ki hukumat se hai fash ye ramz-e-gharib saltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shahi nahin jin ki nigahon ne ki tarbiyat-e-sharq-o-gharb zulmat-e-europe mein thi jin ki khirad-rah-bin jin ke lahu ke tufail aaj bhi hain undulusi khush-dil o garam-ikhtilat sada o raushan-jabin dekhiye is bahr ki tah se uchhalta hai kya gumbad-e-nilofari rang badalta hai kya wadi-e-koh-sar mein gharq-e-shafaq hai sahab lal-e-badakhshan ke dher chhod gaya aaftab sada o pur-soz hai dukhtar-e-dahqan ka git kashti-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabab aab-e-rawan-e-kabir tere kinare koi dekh raha hai kisi aur zamane ka khwab aalam-e-nau hai abhi parda-e-taqdir mein meri nigahon mein hai us ki sahar be-hijab parda utha dun agar chehra-e-afkar se la na sakega farang meri nawaon ki tab jis mein na ho inqalab maut hai wo zindagi ruh-e-umam ki hayat kashmakash-e-inqilab surat-e-shamshir hai dast-e-qaza mein wo qaum karti hai jo har zaman apne amal ka hisab naqsh hain sab na-tamam khun-e-jigar ke baghair naghma hai sauda-e-kham khun-e-jigar ke baghair