jab main aur tu nidhaal ho jate hain sansen phulti hain o rahm pahle dhile aur phir sard pad jate hain aur hamare chehre apni asli haalat par aa jate hain to be-ikhtiyar sochta hun hamara kya hoga agar sath chhut gaya tumhaara kya hoga mere baghair mera kya hoga tere baghair main to soch bhi nahin sakta ki to mere jite-ji mar jae aur na ye soch sakta hun ki to kaise roegi agar main tum se pahle mar gaya hum kitne be-bas aur akele hain kya ye mumkin nahin ki hum apni jaanen ek hi qalib mein samo len taki man-o-tu ka jhagda hi mit jae hum ek hi shakh ke do phul hain hamara mazaq aur mizaj ek hai hamara lutf-e-badan ek hai hamara sachcha man ek hai to phir hum juda kyun ho jaen koi rasta nahin kya koi chaara nahin kya aisi koi surat bana ki hum do dilon ko dhadakta aur dinon ko chamakta rakh saken aur phir main shahr-dar-shahr jagta phirun kucha-o-bazar mein bhagta phirun aur teri aawaz hamesha aasman ki bulandiyon se utarti rahe aur zamin ko jagati rahe aur main mohabbat ke sagar par suron ki darsha karun jism kitna nahif hai aur hum is liye is qalib mein dhaale gae ki fana ki lazzat se aashna ho jaen main maut ke bare mein kuchh ziyaada hi sochta hun jab teri sansen mere shanon par dastak nahin detin to main kanp uthta hun main maut ke sukut se darta hun magar wo ghadi aaegi jab hum mein se ek pahle zamin main utrega sausan ke safed aur kasni phulon ki chadar odhe har taraf se rone ki aawaz aaegi phir khamoshi hogi sukut hoga aur qabr mein sukut achchha lagega aur qabr se bahar jise sukut bardasht karne ki saza milegi is ki haalat kitni bhayanak hogi ab tu hi bata kya karen kitni mushkil surat-e-haal hai ki tere gudaz badan ke lams se aur tere lafzon ki khan-khanahat se hi main teri mohabbat ko samajh sakta hun badan se pare sarhad-e-idrak ke us par main tum tak rasai pane se qasir hun aur jab jism ka ye rishta tut jaega to jahan hum us waqt soch mein gum hain wahan ek khali pinjra hoga