ajib lamha hai maut ka bhi na khauf sathi na aas hamdam ajib shai hai ye aadmi bhi jo maut ke dar se kanpta hai jo aas ki dor thamta hai use khabar hai ki maut kya hai magar wo phir bhi fasil-e-bim-o-raja ka qaidi khud apni karni se bhagta hai use khabar hai ki maut jine ka aasra hai use khabar hai ajib lamha hai maut ka bhi na aas hamdam na khauf sathi