maulwi jannat mein

maulwi jannat mein pahonche to ajab the silsile
nashte mein subh ko bas chae aur pape mile

jhank kar dekha jahannum mein to ye aaya nazar
degen hi degen khanakti thin jidhar dekho udhar

taish mein aakar farishton se kiya tab yun khitab
zindagi bhar ki riyazat ka sila ye hai janab

hum to duniya mein bhi rukhi sukhi kha kar hi jiye
neamaton ki barishen thi sirf ghairon ke liye

ek sharabi ki lahad par raat bhar hande jale
bar mazar-e-ma ghariban nai charaghe nai gule

sun ke ye un ko farishton ne diya tab yun jawab
aap ka shikwa to sar aankhon pe hai aali janab

hum hain supply zarurat ke mutabiq de rahe
chaar bandon ke liye degen chadhane se rahe

us ki rahmat se ye jannat jaise hi bhar jaegi
har taraf degen khanakne ki sada tab aaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close