miyan biwi aur ghaalib

miyan-biwi mein thi kuchh bahs-o-takrar
the zer-e-bahs 'ghaalib' ke kuchh ashaar

koi jab faisla ho hi na paya
to phir tang aa ke biwi ne sunaya

main mar kar jab pahunch jaungi jannat
to khud 'ghaalib' se kar lungi wazahat

kaha shauhar ne kya samjhi ho bibi
wo shair the sharabi aur kababi

jahannum hi mein hoga un ko rahna
kaha biwi ne phir tum puchh lena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close