ek maulwi sahab se kaha main ne ki kya aap kuchh haalat-e-europe se khabar-dar nahin hain aamada-e-islam hain london mein hazaron har chand abhi mail-e-izhaar nahin hain taqlid ke phandon se hue jate hain aazad wo log bhi jo dakhil-e-israr nahin hain jo nam se islam ke ho jate hain barham un mein bhi tassub ke wo aasar nahin hain afsos magar ye hai ki waiz nahin paida ya hain to ba-qaul aap ke din-dar nahin hain kya aap ke zumre mein kisi ko nahin ye dard kya aap bhi us ke liye tayyar nahin hain jhalla ke kaha ye ki ye kya su-e-adab hai kahte ho wo baaten jo saza-war nahin hain karte hain shab-o-roz musalmanon ki takfir baithe hue kuchh hum bhi to be-kar nahin hain