bhige bhige mausam mein wo tikhe naqsh aur nainon wali ek ladki sharmili si chhat par aati jati apne aanchal ko lahraati thi hanste hanste barish mein wo bhigi zulfen phaila kar jaise rang udati thi phir singhaar ki mez pe wo pahron apni raushan raushan aankhen takti danton mein phir hont daba kar itraati aur khud se hi sharmati thi nazmen likhti ghazlen kahti gile baal sukhati thi itne achchhe bhige bhige mausam mein ab us ka apni chhat par aana banta hai hanste hanste barish mein ab rang udana banta hai danton mein phir hont daba kar itrana bhi aur sharmana banta hai lekin ab wo singhaar ki table par apni bhigi bhigi aankhen pahron takti rahti hai nazmen sochti rahti hai aur ghazlen kahti rahti hai hath ki rekhaon se ulajh kar apne hont mich ke aankhen dhire dhire apne ashk bahati hai aaine ke samne baithi bhige khwab sukhati hai