aisa ek remote banaen jis se ghar ghar sukh phailaen hain ye sundar khwab hamare laen zamin pe chand sitare nal se nikle dudh ki dhaara rangin titli rath ho hamara khelen chacha gulli danda bhangda nachen dadi dada khaen machhli aam ka halwa jar mein ho duniya ka jalwa meindak gay megh malhaar jhengur bola le ke gitar khuli faza aakash ke niche kya hai fitrat raaz ye samjhe jab chahen hum barish barse roen na sailab ke dar se science ke is daur mein bachcho jag ke nirale taur mein bachcho kaam len aisa hum atom se pae rihai duniya gham se